Saturday, 28 May 2016

BAS YUN HI ...PART 6

Arz kiya hai....

1.Iss kadar na jaane armaan mere utar gaye.....tasveer bhi dekhu teri...toh yaad ka bhi intezaar na rahe

2.Dil ke Khwaashion ko apni masroofiyat tale tum chipaate chale....
...Zindagi hai Zaalim aisi Gaflat tum karte rahe.............

...Na jaane kis ko paane ki junnoniyat tum par sawaar hai.........
...Kaamyaab na hue toh haseen-e-zindagi ko badnaam tum karte rahe..
。。karte rahe...

3.Har nigah ko tera intezaar hai.....
..yunki teri Adaaein jo itni bemisaal hai.......
.....Jhalak jo mil jaaye, uska naseeb bhi gulaam hai....
.Jis kadar tum muskura gaye samjo rachi.
Ek noor ki misaal hai

4.Aaina yeh yun sharmaane ki aas main hai....
...Yeh noor-e-chand jab uske paas main hai......

....ik pal nazar uski jo hati aaine se..
.
. CHUR KAR AAINA DUKH KI ARDAAS MAIN HAI...

Wednesday, 18 May 2016

AKSAR MAINE...

Aksar maine khwab se pucha ..
.Tu neend main hi kyu aata hai...
uth kar kyu nhi.....


.Aksar maine naseeb se apne pucha...
Tu taqdeer main hi kyu likha hai
.....kitaabon main kyu nhi........


Aksar main khaayalon se pucha ..
.tum yun hi kyu behte rehte ho..
mujhe apne saath le jaate kyu nhi...
...

AKSAR MAINE
Duaaon se pucha...
Tum Taqleefon main hi kyu yaad aate ho..
Aur dusron ki zubaanon se hi maange jaate ho...
Mere Dil se kabhi Guzarte kyu nhi..


AKSAR MAINE
Bahaanon se pucha...
Tum aalas ke aalam main hi kyu mila karte ho....
Mere paas aaye bina na shaant rehte ho
Kabhi mujhe akela tum chodhte kyu nhi...


AKSAR MAINE
Hawaaon se pucha. .
Tum manmarziyon pe hi kyu thehre rehte ho...
Mizaaj ke hisaab se mila karte ho. 
Kabhi toh kehne par ek dafha aao toh sahi.....


Yun hi Aksar aisi baatein ho hi jaati hai....
Yun hi raatein taaron ke sung kho hi jaati hai...


Aksar taaron tale yaadein taaza ho hi jaati hai...
Aksar kuch lamhein Khaas ban hi jaate hai...


AKSAR MAINE ..Yeh khud ko kehna chaaha ...
Aksar khud ko samjaana chaaha....

Yunki yeh  Dil jo nadaan hai....
Raahein aaj bhi anjaan hai....


AKSAR Maine yeh jaana hai

...AKSAR MAINE...