Tuesday, 26 December 2017

UMRR YA NEEYAT

Umrr toh bas kehne ki baat hai
Neeyat insaan ki jatati haalaat hai
Daulat ki aas ho ya vaasna ki pyaas ho
Inke saamne haar jaate Jasbaat hai

UMRR TOH BAS KEHNE KI BAAT HAI

Kisi naujaawan main bhari hawas,toh kisi buzurg ki kisi pe galat nazar hai...

Maano haewaaniyat ki ek nayi chalti azhar hai..

Har din ki yeh ek chaukaane laayak raat hai

UMRR TOH BAS KEHNE KI BAAT HAI

Main market main samaan lene jaata tha..
Voh vahi chai ki dukaan pe baithi dikhti thi..

Sehmi sehmi si apni hi nazron main jhuki jhuki si rehti thi...

Ya toh voh kisi ke intezaar main thi..
Ya mann main uski baatein chalti hazaar thi

Ek din humne puch hi liyaa...
KYA,KYU,KAISE??

Maano voh bolne main nakaam thi...
Shaayad yeh baat bilkul nhi aam thi

Hum koshish main lage rahe uski dil ki baat nikaalne ko...
Shaayad voh bhi chaahti hogi mann ki baat bataane ko...

Par yunki voh bolne main nakaam thi..
Iss baat pe koi ishq nhi ke voh baat bilkul nhi aam thi

Hum puchne main lage rhe,lage rahe,lage rahe...
Toh ek din usne kaha ki sunooo...
SUNOO....

118 purshon ne ...
Meri Yoni main pravesh kiya..
Cheekna bhi naseeb nhi kyunki sootr ka kapda mere muh main ghusedh diya gaya...

Haathon ko bediyon se baandh diya gaya...
Aur taangon ko zabardasti 160 degree tak khol ke rakh diya gaya....

Maano....
Maano main voh pyaas hu jo inko bhujaani hai....
Ya toh main kehne main nakaam hu,Ya in haewaano ki manmaani hai...

Maano main aayi hu sirf dard sehne ke liye..
Ek zariya hu inki khwaahishon ko pura karne ke liye...
Chaah kar bhi kuch na keh saku....
Koi nhi hai meri sunne ke liye!

Har din ki yeh ek chaukaane laayak raat hai..

UMRR TOH BAS KEHNE KI BAAT HAI

Main kaamp utha,dhadhknein ghutno main samaa gayi..
Har rag main mere khoon ko dauda gayi...

Main kya kar sakta tha...

Main kya kar sakta hu...
Main apnepann ke alaawa kuch nhi de sakta hu...

ISS PAR KEHNE LAGI RE SUNNN....

Apnepann ko khojte hue main yahan tak pahunch gayi...
Ki har koi mujhe galat nazar se dekhta hai..
Aur main bas swaarth ke liye,idhar se udhar bas dhakheli gayi...Bas dhakheli gayi...

Humne usko saantvana di aur keval ek baat sochi...
Ki humhe kya chahiye...
Ek soch...
Ek soch jisko tum nazariya bana lo
Aurat ki izzat mann main jaga lo

Aurat keval bistar ki tapaayi ke liye nhi bani hai..
"Voh makaan ko ghar bana sakti hai..
Maa ki mamta jata sakti hai..
Pyaar behen ka nibha sakti hai..
Maa baap ka sar unchaa kara sakti hai..
VOH TEREKO INSAAN BANA SAKTI HAI"

Meri har aadmi se haath jodh kar vinti hai...
Uss soch ko nazariya bana lo
Aurat ki izzat mann main jaga lo..

Aur agar isme bhi tum nakaam reh gaye...
Toh main vohi kahunga jo maine shuruaat main kaha tha....

"UMRR TOH BAS KEHNE KI BAAT HAI"

NIRBHAYA KI AATMA KO SHAANTI MILE

Monday, 4 December 2017

YUNKI UNKA GHAR AA GAYA THA...PART3

Yunki unhone biryani ka zikr kar diya tha...

Ab unhe kya bataaye,
Hazmaa aajkal thoda khafa sa rehta hai..
Pal do pal kahi juda sa rehta hai!

Toh kya karte.....

Bhuje dil ko lekar...
Gaadi main baith kar..
Handbrake bhai ko chutthi diye...
Sapno main unhe ek angoothi diye...
Engine bhai ko uthaaye...
Unhe daudaate hue nikal liye!

Sunsaan raaston par
Suni suni baaton par...
Yaadein aaj ki tanhaa ho rahi thi!

Haqeeqat hone ke liye na jaane kyu bekraar ho rahi thi!

Idhar udhar bas main aur meri raahein thi..
Ishq pyaar mohabbat ki bas mann maim chalti misaalein thi!

Apni manzil ab paas aa rahi thi...
Par shaayad...

Koi manzil duri bhi pakad rahi thi!

Unhe dekhne ki ek dafha aur aas ho rahi thi..
Par shaayad...

'Ajeeb na lage',yahi soch andar hi andar mann ko jakad rahi thi!

Itne main.....

Kisi ka paigaam aaya..
Humne notification dekhe,sab se pehle
Unhi ka naam paaya!

Yunki kehti...
"Jab ghar pahunch jaao,toh bata dena"

Maano.....
"Kisi ansuni si zimmedaari ko tum nibha lena"

Toh.....

Humaari manzil yaani ki ghar aa gaya tha...
Din aaj ka kisi lamhe main samaa gaya tha!

Chaukhat par kadam rakha hi tha ki...

Tabhi.......

Aree vohi suni suni si...
Meethi meethi si...
Koyal jaisi....
Awaaz ka phone par bulaava aaya....

Uthaate hi humne pahunch jaane ko itlaa kar diya...
Shaayad unhe kisi tanhaayi se rihaa kar diya!

Phone rakhne ki soch hi rahe the ki....

Tabhi.....

Sunoo....
Yunki aapka ghar aa gaya tha...
Toh socha ....
Shaayad aapka ghar basaane ka bhi waqt aa gaya tha....

Kya tumhe....

"Hum pasand hai?"

Dimaag bhi yahan fisal gaya...
Bina soche zubaan se "Haan" nikal gaya!

Yunki Humaara Ghar Aa Gaya Tha!