Baithe the kahi uske intezaar main...
Tanhaa the ya mansoob pyaar ki haar mai
Baithe the kahi uske intezaar main
Pannon ko palat kar, kismat na palat paaye,
Majboor tha voh, Ya kisi guroor main..
Ke main aur voh hum na ho paaye...
Yaadon ka pitaara puraana ho raha hai...
Waqt apna bekhyaali main nikal raha hai!
Aaj bhi hai umeed main, surat par muskaan hai...
Uski humnashi jo bhi ho agar, par voh toh mera armaan hai..
Shaayad bheed badh gayi ishq ke bazaar main
Hum Aaj bhi baithe hai uske intezaar main
Tanhaa the ya mansoob pyaar ki haar main
Aaj bhi baithe hai uske intezaar main!
Uski maujoodgi aaj bhi zaroori lagti hai..
Yeh kambhakkt chai bina uske adhuri lagti hai!
Hawa main bhi uska intezaar hai...
Har alfaaz main usi ka ikraar hai
Mujhe nhi, Kalam ko mere usse utaarne ki aadat hai..
Voh dil ki dhadhkan hi nhi, mann chaahi ibaadat hai...
Ab toh ishq jhalakta uske inkaar main..
Aaj bhi baithe hai uske intezaar main
Tanhaa the ya mansoob pyaar ki haar main
Aaj bhi baithe hai uske intezaar main!
Umar badh rahi hai par ishq toh apna jawaan hai..
Aisi shaqs ke liye toh hum khuda par meharbaan hai...
Dur kahi maidaan main voh aur waqt apna ho...
Baarish ki boondein aur saath hone ka sapna ho
Haathon main haath, aur muskuraana ho
Saath jeena marna aur use dil ki baat samjhaana ho!
Chapva de ye sab hum ishtihaar main..
Baithe the kahi aaj bhi uske intezaar main..
Tanhaa the ya pyaar ki haar main
Baithe the kahi aaj bhi uske intezaar main!
Baithe the kahi aaj bhi uske intezaar main!
~Gantavya(Mukaam)