Monday, 22 February 2021

Aaj Khaamosh Hu Main..

Khaamosh hu main,
Zehen ki baatein zehen tak rahe,
Khud main Madhosh hu main..

Galatfehmiyan Paalna mizaaz hai unka..
Baaton se khelne ka andaaz hai unka
Kahi izzat apni dil main khud ke liye kam na ho
Khaamosh hu main
Khud main madhosh sa hu main

Han voh nazron se behkaana jaanti thi...
Masoom mujhse ko behlaana jaanti thi
Main khud ko mansoob na karlu ab sadiyon ke liye
Hosh hokar bhi khud main madhosh sa hu main
Haan Khaamosh sa hu main!
Khud main madhosh sa hu main

Waqt ka dariya hai, Doob ke jaana hai..
Unke apne waqt se aagaah karaaa kar jaana hai.
Apni manzil se rubaaro ho saku muddaton  baad
Haan yaaron madhosh sa hu main, khaamosh sa hu main

Fikar karne se unhi ko dard dene ka mauka milega
Voh Apne maze ke liye tumhe manzil se door karega..
Zara unko bhi dard ka aehsaas karaane laayak ho jaau..
Madhosh sa hu main, khaamosh sa hu main

Aur haan...
Baatein puri nhi aadhi reh jaayegi
Lekin dard aadha nhi poora bhar jaayega
Zara kaabil hokar dard par Apne muskaan toh le aau..
Aaj khaamosh sa hu main...
Khud ke liye aehsan farahmoosh sa hu main
Bas aaj ke liye madhosh sa hu main!

~Gantavya Mukaam

Friday, 12 February 2021

Dhadhakta Dil

Sunaane ko betaab hu, Dhadhakte Dil ki kitaab hu...

Na Laila, Na Majnu,
Rakhta Kisi ka na Hisaab hu..
Main khud main hi Mohabbat ka aaftaab(source) hu..

Na Ulfat ke intezaar main...
Na kashmakash ke daaromadaar main ..
Na  Bewafai ke khumaar(hangover) main..
Na Rishton ke bazaar main

Na hi main kisi Sawaal ka jawaab hu,
Main khud main hi Mohabbat ka Aaftaab hu

Na hi madhoshi ka aagaaz(beginning) hu..
Na hi main kisi se naraaz hu..
Na hi koi ankaha raaz hu..
Na hi kisi aashiq ka andaaz hu..

Aur Na hi khwahishon ka Sailaab(flood) hu..
Main Khud main hi Mohabbat ka Aaftaab hu..

Na kisi dil ke paas hu..
Na  koi ansuna aehsaas hu..
Na  koi dabi aas hu..
Na hi koi racha itihaas hu

Aur na hi main koi adhura khwaab hu..
Main khud main hi Mohabbat ka aaftaab hu..

Na hi kisi ki yaad main..
Na koi  fariyaad(complaint) main...
Na hi kisi ki muraad(wish) main..
Na hi koi vivaad(conflict) main..

Aur na hi ishq mai awaara koi janaab hu..
Main khud main hi Mohabbat ka Aaftaab hu

Na hi main nakaam hu,
Na  hi koi  anjaam(execution) hu..
Na hi ishq ka paigaam(message) hu...
Na hi kisi ka mukaam hu..

Aur na hi main chamakta Mehtaab(moon) hu..
Main khud main hi Mohabbat ka Aaftaab hu!

~Gantavya(Mukaam)