Sunday, 8 June 2025

Muraad

Tum jab aao, aana ek muraad banke
Jaane ka Mann kare toh jaana ek yaad banke
Jitne bhi pal rahe hum saath Mai
Rehna ek pyaara jasbaat banke

Sangharsh hi jeevan ka naam hai 
Kuch waqt bitaa lenge ek khaas saath banke
Jitne bhi pal rahe hum saath Mai
Rehna ek pyaara jasbaat banke

Chai par baat ho, elaichi se mulaqat ho..
Aankhon Mai aankhein aur saamne barsaat ho
Lamhon ko rakh lenge saath ek khayalaat banke
Reh jaana iss nakaare ke saath ek pyaara jasbaat banke


Akal ka thoda kacchha hu, par nibhaane mai poora pakka hu
Tum zubaan pe naam toh laao, mai lafzon jitna saccha hu
 Siyaayi toh uthaao ek baar,  Mai likhne laayak  ek baat hu, laakhon ki muraad hu.

Aakhir mai pehli baat hi dohraaunga
Janam padh jaye kam, Mai tumko hi paana chahunga
Tum jab bhi anaa chaaho, aana ek muraad banke
Jaana ka Mann kare toh chale jaana ek yaad banke











Friday, 19 May 2023

uber

Din ki raftaar maano aaj kahi ruk gayi....
jab GO mili nhi aur Pool book hogyi...

Aur yunki aaj toh late hona munaasib tha....
saali zindagi hai ke nark hogyi...

jaha GO pe chaar aur Pool par ek minute ki limit jo hogyi..
hafa hafa seedi se utre,kahi tanhaayi humaari mashook toh nhi ho gayi..

par voh kamaal tha ke bemisaal tha..
jab pool partner ko dekha....
dil ki dhadhknein naazuk hogyi

Din ki raftaar maano aaj kahi ruk gayi..
jab GO mili nhi aur Pool book hogyi

Voh haqeeqat thi ke koi fasaana tha..
Tauba suroor ka koi pehmaana tha...

Nazrein bhi mansoob unme hogyi...
Zubaan bin bole mehboob unko keh gayi...

Shaayad thoda zyaada bol gaya hu

Dil apna unke liye pura khol gaya hu...

Ab aisa noor jaha noor-e-chand bhi salaam kar jaaye...

Rasta apna badal ke ek dusra mukaam padh jaaye...

Toh hum toh uske ansh ka bhi ansh hai...
Isiliye zyaada bol gaya hu.....

Maano ek hi mulaaqat main voh mera Fitoor hogyi...

shukriya uss "Go" ko jo mili nhi aur Pool thi book hogyi...

Aisa samaa maano jaha late hona main chaahta hu...
Raste main traffic aa jaaye toh hadd se zyaada khush ho jaata hu..

Yunki unke deedar ka waqt aur badh jaata hai...
Unka suroor haule haule aur chadh jaata hai..

Par safar pe the,manzil toh aani thi...
Antt toh tha hi,YUNKI ek kahaani thi

Stop unka aaya aur voh hi utar gayi
Aur mujh jaise fakir ke liye...
Ek pyaari si yaad aur mulaaqat chod gayi..

Par...
Phir kuch hua,na jaane kyu,
Bas hua..

"Xcuse me
Mitraa this side
Bye,Cya"

Tahe dil se shukriya uss saali "GO" ko jo mili nhi aur "POOL" thi jo book hogyi😊


Voh mulaqaat kuch khaas thi..
Asal main ab vohi aas thi..
Mitraa...chal gaya jiska hum par paitraa
Mitraa....


Haanji, Yeh meri kahaani hai...
Na ruki na badi, Bas dil ki zubaani hai
Khwaabon mai dhundte hue, Usse har pal sochte hue
Har mod par khojte hue, yeh shuruaat thodi puraani hai

Par taaza hai dil mai aaj bhi, Isliye sabko bataani hai..
Vohi nayi cum puraani, Uber ki yeh kahaani hai!

Voh sapna mann se jaata nhi, Aur Mitraaa milne kabhi aati nhi..
Duniya iss pyaar ko samajti nhi, Pagal kehne se katraati nhi..
Par hum hai shaayr dil se, haar kabhi maante nhi.

Umeed yeh umeed ko sahaara deti rahi, Koshish humaari bas chalti rahi,
Uber book hum karte rahe, Par sirf Go thi, toh Pool kabhi mili nhi!

Khayaal ko hi haqeeqat maan rahe, Yeh dil hai ki meri sunta nhi
Ek dafah aur rubaru ho jaaye, Koi aur khayal yeh mann ab bunta nhi

Mehfilo mai aagaaz karke, Mehkaano mai yaad karke,
Dhoop mai sulag ke, Bazaaro mai bhatak ke...
Yeh chaaahat poori hui nhi, Voh pyaari mitraaa ab tak mili nhi...

 Yeh nazaara ussi tarah pyaara sa hai...
Kya yahi hai mitraaa, Ya koi shaks anjaanaa sa hai
Milne ki aas hui, Toh aashiq jaise nikal pade..
Kya Go banegi Pool, Issi soch mai ulaj gaye!

Haal Behaal yeh kamaal ka manzar hai..
Na ishq ka sahaara na uski manzil hai
Mukammal jahaan milte na mile, Yahi maan lena chahiye
Apno ka jo kehna hai, Usse sach hi  karaar dena chahiye

Shyaad aage badhna hi jeene ka tarikka hai...
Voh nhi toh koi aur sahi hi khush rehne ka salika hai
Ek aur din, Ek aur Uber, Par aas ko peeche chod gaye....
Mitraa na koi sach hai na meri, Yahi maan gaye...

Iss jahaan mai kayi phool hai baabumoshaai,
Umeed Ko kaayam rakhte chalo...
Tumhari mitraa tumhari hogi, Bas aage badte chalo...
Raag hai ab naya, Par ussi dil ki zubaani hai...
Ek naye aehsaas ke saath, Uber ki yeh kahaani hai!








Wednesday, 15 February 2023

Baat Kar Lena- [Parle-moi]

English Translation available in film subtitles


Kabhi Mauka lage, Toh khayaal kar lena
Baat ho sake, Itni hi baat kar lena..

Mai tera kal hu, Iss par vichaar kar lena
Tumse khud ko maangu, Toh bawaal kar lena
Gar Jaayaz lage, Aankhein namm kar dena
Par Baat ho sake, Itni hi baat kar lena.

Shikhwe ho koi, Tum naraaz ho lena
Jo kuch kehna ho,  Bas keh dena
Duur chale jaaun tumse, Ishaara kar dena
Par Baat ho sake, Itni hi baat kar lena

Tumhe accha lage, Toh badnaam kar dena
Mohabbat meri, Neelaam kar dena
Baatein humaari, Sareaam kar dena
Par Baat ho sake, Itni hi baat kar lena

Jo sawaal kiye, Uske jawaab le lena
Gar mann na bhare, Saare Khwaab le lena
Tum aaina ho mera, Chaahe aazma lena
Par baat ho sake, Itni hi baat kar lena

Gar paas bulaana ho, Bas yaad kar lena
Gale lagaana ho, Toh saath kar lena
Jo tumhara na hua, Phirse Khayaal kar dena
Par Baat ho sake, Itni hi Baat kar lena.

Author- Gantavya Vivek Punj 


Saturday, 19 March 2022

Sangharsh

Sangharsh hai yahan, bhuton ki manaahi..
Haathon mai kalam, bas umeed ki parchaayi..-Chorus

Aag mai lapte hum, khwaashein aazaad ..
Jab haar hi mile,  lage bas waqt barbaad.

Nazron mai aasmaan, par haqeeqat zameen 
Ek pal ki muskaan sahi,  yunki sapne haseen.

Duniyadaari dikhaawe ki, maano voh naayaab hai..
Apnapann toh kahaan, bas
Jataate ki kaamyaab hai!

Yaariyan toh bhul gaye, bas
Daulat hi Shaurat hai..
Jinko Dil se apna maana tha
Aaj unki koi aur mohabbat hai!

Jo kabhi mehnat thi, aaj voh pagalpann..
Lage jaise apna kuch nhi, bas dusre sampann

Chaahat hai meri, chahiye voh aoudha..
Ab jaake pata chala, 
Yeh toh barson ka sauda.

Aakhir mai, sirf yeh chaahta, Mera baap kehde shaabaash beta, 
Maa rokar gale lagaale mujhko aur kehde waah, sona raja beta

Han, Sangharsh hai
Ji haaan Sangharsh hai...(chorus repeat)

Ya Raakh ho chaahe khaak ho
Par saahas mera paak ho
Kaamyaab na ho, kaabil sahi..
Kuch kar dikhaana meri firaaq ho...

Deewaron se baatein karta hu mai...
Raatein roz kaali karta hu mai...
Sabr karo, ruko zara...
Uske mudne par aage badhta hu mai...

Ek din suraj apna chaayega
Aree Apna time bhi aaayega
Sangharsh se Moksh aate hi..
Maa par muskaan laayega

Han sangharsh hai...(chorus repeat)

Ending monologue- 
[Sar utha kar chale hum, Izzat mile bharpur
Kaash ho jaaye mere kaam se, Mere maa baap mashoor]


~Gantavya Mukaam

Monday, 22 February 2021

Aaj Khaamosh Hu Main..

Khaamosh hu main,
Zehen ki baatein zehen tak rahe,
Khud main Madhosh hu main..

Galatfehmiyan Paalna mizaaz hai unka..
Baaton se khelne ka andaaz hai unka
Kahi izzat apni dil main khud ke liye kam na ho
Khaamosh hu main
Khud main madhosh sa hu main

Han voh nazron se behkaana jaanti thi...
Masoom mujhse ko behlaana jaanti thi
Main khud ko mansoob na karlu ab sadiyon ke liye
Hosh hokar bhi khud main madhosh sa hu main
Haan Khaamosh sa hu main!
Khud main madhosh sa hu main

Waqt ka dariya hai, Doob ke jaana hai..
Unke apne waqt se aagaah karaaa kar jaana hai.
Apni manzil se rubaaro ho saku muddaton  baad
Haan yaaron madhosh sa hu main, khaamosh sa hu main

Fikar karne se unhi ko dard dene ka mauka milega
Voh Apne maze ke liye tumhe manzil se door karega..
Zara unko bhi dard ka aehsaas karaane laayak ho jaau..
Madhosh sa hu main, khaamosh sa hu main

Aur haan...
Baatein puri nhi aadhi reh jaayegi
Lekin dard aadha nhi poora bhar jaayega
Zara kaabil hokar dard par Apne muskaan toh le aau..
Aaj khaamosh sa hu main...
Khud ke liye aehsan farahmoosh sa hu main
Bas aaj ke liye madhosh sa hu main!

~Gantavya Mukaam

Friday, 12 February 2021

Dhadhakta Dil

Sunaane ko betaab hu, Dhadhakte Dil ki kitaab hu...

Na Laila, Na Majnu,
Rakhta Kisi ka na Hisaab hu..
Main khud main hi Mohabbat ka aaftaab(source) hu..

Na Ulfat ke intezaar main...
Na kashmakash ke daaromadaar main ..
Na  Bewafai ke khumaar(hangover) main..
Na Rishton ke bazaar main

Na hi main kisi Sawaal ka jawaab hu,
Main khud main hi Mohabbat ka Aaftaab hu

Na hi madhoshi ka aagaaz(beginning) hu..
Na hi main kisi se naraaz hu..
Na hi koi ankaha raaz hu..
Na hi kisi aashiq ka andaaz hu..

Aur Na hi khwahishon ka Sailaab(flood) hu..
Main Khud main hi Mohabbat ka Aaftaab hu..

Na kisi dil ke paas hu..
Na  koi ansuna aehsaas hu..
Na  koi dabi aas hu..
Na hi koi racha itihaas hu

Aur na hi main koi adhura khwaab hu..
Main khud main hi Mohabbat ka aaftaab hu..

Na hi kisi ki yaad main..
Na koi  fariyaad(complaint) main...
Na hi kisi ki muraad(wish) main..
Na hi koi vivaad(conflict) main..

Aur na hi ishq mai awaara koi janaab hu..
Main khud main hi Mohabbat ka Aaftaab hu

Na hi main nakaam hu,
Na  hi koi  anjaam(execution) hu..
Na hi ishq ka paigaam(message) hu...
Na hi kisi ka mukaam hu..

Aur na hi main chamakta Mehtaab(moon) hu..
Main khud main hi Mohabbat ka Aaftaab hu!

~Gantavya(Mukaam)

Sunday, 1 March 2020

SHOULD THERE BE RESERVATION?

SHOULD THERE BE RESERVATION?

Well, going back to the times when we have observed atrocities on caste discrimination; the bad times and grievances that one of them has gone through, With due respect, now in present times, what matters is who needs it and the whole discussion should be on need basis and not on past historical significances; the reason for the same is elaborated below....

After giving reservation to the needy on caste lines in the past for their upliftment and equal opportunities to maintain and strike a balance to uplift the relatively disadvantaged in the society, in many instances in present times we are observing the below  trifurcations:

(1) Many people of the reserved communities were uplifted in the past and now the hierarchical reservation technique is being adopted for sheer misuse. Moreover, many people from the upper caste were unable to afford  facilities due to economical issues for which the EWS category was introduced.

(2) Many people of the reserved communities are still on the path of upliftment and for the same, reservation is a big help.

(3) We  often observe reservations on regional(language) lines as well in various states which promotes big imbalance in the opportunities for the general category candidates in that particular state who are non-proficient or less proficient in their mother tongue to any reason.

SO WHAT CAN BE THE SOLUTIONS FOR THE SAME?

(1) Introduction of a filtration system to validate ones need for reservation in present times.

Explanation:- For example, if you fill an application form to appear in a govt examination, you are asked about your category and if you belong to a reserved one, The moment you are asked about the same, on a set of certain defined parameters, you should be asked about various authentications to validate your need for reservation. Parameters can include (Parents occupation, their educational background, your background if reqd, family income etc)

The above would validate your need for reservation in present times.

Many intellectuals i have encountered who support reservation, the way it is. Although I don't understand their logic behind the same except the historical significance, i would appreciate if any one of you and also of not having such a thought, kindly put your suggestions and viewpoints for enabling a better regulatory framework for reservation in future.

#MySoleOpinion- Reservation should be given to the needy in present times and that too reservation in facilities as for skill development, educational facilities for becoming capable enough to fight equally with the general peeps.

1.Give them money for college fees, give books for free in shops, if they are disadvantaged ,not a reserved seat
2. Give them facilities for imparting adequate education in schools, not a reserved seat to enable some to get something without efforts.
3. Give them skills to do something worth for the nation, not misuse its facilities.

Thats why "Need of a Filtration System" in  reservation and abolition of language based reservation (you can conduct an examination to find if one's proficient in your mother tongue or not, not reserve a seat based on that)

#ThanksForReading
#ViewpointsWelcomed