Friday, 19 May 2023

uber

Din ki raftaar maano aaj kahi ruk gayi....
jab GO mili nhi aur Pool book hogyi...

Aur yunki aaj toh late hona munaasib tha....
saali zindagi hai ke nark hogyi...

jaha GO pe chaar aur Pool par ek minute ki limit jo hogyi..
hafa hafa seedi se utre,kahi tanhaayi humaari mashook toh nhi ho gayi..

par voh kamaal tha ke bemisaal tha..
jab pool partner ko dekha....
dil ki dhadhknein naazuk hogyi

Din ki raftaar maano aaj kahi ruk gayi..
jab GO mili nhi aur Pool book hogyi

Voh haqeeqat thi ke koi fasaana tha..
Tauba suroor ka koi pehmaana tha...

Nazrein bhi mansoob unme hogyi...
Zubaan bin bole mehboob unko keh gayi...

Shaayad thoda zyaada bol gaya hu

Dil apna unke liye pura khol gaya hu...

Ab aisa noor jaha noor-e-chand bhi salaam kar jaaye...

Rasta apna badal ke ek dusra mukaam padh jaaye...

Toh hum toh uske ansh ka bhi ansh hai...
Isiliye zyaada bol gaya hu.....

Maano ek hi mulaaqat main voh mera Fitoor hogyi...

shukriya uss "Go" ko jo mili nhi aur Pool thi book hogyi...

Aisa samaa maano jaha late hona main chaahta hu...
Raste main traffic aa jaaye toh hadd se zyaada khush ho jaata hu..

Yunki unke deedar ka waqt aur badh jaata hai...
Unka suroor haule haule aur chadh jaata hai..

Par safar pe the,manzil toh aani thi...
Antt toh tha hi,YUNKI ek kahaani thi

Stop unka aaya aur voh hi utar gayi
Aur mujh jaise fakir ke liye...
Ek pyaari si yaad aur mulaaqat chod gayi..

Par...
Phir kuch hua,na jaane kyu,
Bas hua..

"Xcuse me
Mitraa this side
Bye,Cya"

Tahe dil se shukriya uss saali "GO" ko jo mili nhi aur "POOL" thi jo book hogyi😊


Voh mulaqaat kuch khaas thi..
Asal main ab vohi aas thi..
Mitraa...chal gaya jiska hum par paitraa
Mitraa....


Haanji, Yeh meri kahaani hai...
Na ruki na badi, Bas dil ki zubaani hai
Khwaabon mai dhundte hue, Usse har pal sochte hue
Har mod par khojte hue, yeh shuruaat thodi puraani hai

Par taaza hai dil mai aaj bhi, Isliye sabko bataani hai..
Vohi nayi cum puraani, Uber ki yeh kahaani hai!

Voh sapna mann se jaata nhi, Aur Mitraaa milne kabhi aati nhi..
Duniya iss pyaar ko samajti nhi, Pagal kehne se katraati nhi..
Par hum hai shaayr dil se, haar kabhi maante nhi.

Umeed yeh umeed ko sahaara deti rahi, Koshish humaari bas chalti rahi,
Uber book hum karte rahe, Par sirf Go thi, toh Pool kabhi mili nhi!

Khayaal ko hi haqeeqat maan rahe, Yeh dil hai ki meri sunta nhi
Ek dafah aur rubaru ho jaaye, Koi aur khayal yeh mann ab bunta nhi

Mehfilo mai aagaaz karke, Mehkaano mai yaad karke,
Dhoop mai sulag ke, Bazaaro mai bhatak ke...
Yeh chaaahat poori hui nhi, Voh pyaari mitraaa ab tak mili nhi...

 Yeh nazaara ussi tarah pyaara sa hai...
Kya yahi hai mitraaa, Ya koi shaks anjaanaa sa hai
Milne ki aas hui, Toh aashiq jaise nikal pade..
Kya Go banegi Pool, Issi soch mai ulaj gaye!

Haal Behaal yeh kamaal ka manzar hai..
Na ishq ka sahaara na uski manzil hai
Mukammal jahaan milte na mile, Yahi maan lena chahiye
Apno ka jo kehna hai, Usse sach hi  karaar dena chahiye

Shyaad aage badhna hi jeene ka tarikka hai...
Voh nhi toh koi aur sahi hi khush rehne ka salika hai
Ek aur din, Ek aur Uber, Par aas ko peeche chod gaye....
Mitraa na koi sach hai na meri, Yahi maan gaye...

Iss jahaan mai kayi phool hai baabumoshaai,
Umeed Ko kaayam rakhte chalo...
Tumhari mitraa tumhari hogi, Bas aage badte chalo...
Raag hai ab naya, Par ussi dil ki zubaani hai...
Ek naye aehsaas ke saath, Uber ki yeh kahaani hai!








No comments:

Post a Comment