Tuesday, 29 September 2015

O JAANA O JAANA......

THI TUM HAQEEQAT
HO TUM ZAROORAT
RAHOGI TUM MOHABBAT..

O JAANA O JAANA..

HUMARI ZINDAGI KA SUROOR HO TUM
AANKHOIN KA NOOR HO TUM
INN RAGOIN  MAIN CHALTI RAHO TUM

O JAANA O JAANA..

TUM HUM SE HUMNAVA BAN GAYE 
MEHAKTI BAARISH KE BOONDOIN KI NAMI BAN GAYE
HUME AASRA DENE WAALI ZAMEEN BAN GAYE

O JAANA O JAANA...

Saturday, 26 September 2015

BAS YUN HI.................................................

TERI SURAT KE SAAMNE YEH DIL MULAZIM HAI

ISS BAAT PE KYA SHAK KE TERE LIYE YEH INSAAN HAAZIR HAI..............



TERI NAZROIN KA NASHA ISS TARAH HUM PAR CHADH RAHA HAI

TAPTI DHOOP MAIN BHI NOOR KE CHAND KA DEEDAR HO RAHA HAI..............



HAI TU SAAMNE YA TERI PARCHAAYI 
HOGA DEEDAR DONO SE KYUNKI
ISS RISHTE MAIN HAI GEHRAYI....................



TUMHARI AANKHOIN KE SHAARARTOIN NE KHUSH KAR DIYA HAI HUME 
HONTOIN KI MUSKURAHAT NE LUBHA DIYA HAI HUME
RE SURAT NE TUMHARI DEEWANA BANA DIYA HAI HUME..................







ALI KA TAUFA

Shukriyaada uss khuda ka jisne bheja apna farman
Aayi khushiyon ka khazaana lekar ban ke mehmaan

Apne pyaar aye dulaar se kar diya sabko behla
Mita diya sab hi ki buraiyon ko aur acchaiyon ko kar diya gehra

AISA LAGTA THA KABHI KABHI..........

Jaise aati hai hava ke bahaav ki tarah 
Jaati hai samundar ke lehraav ki tarah

Jaate jaate de jaati hai dil ko marham
Chodh jaati hai khushiyon ka sargam

Na todhna yeh rishta humse 
Dil se Dhadkan rooth jaayegi
Rehna saath humare janmoin ke liye
Warna saas bhi shareer se choot jaayegi

Li maine tujhe khush rakhne ki pehal
Jo hai ek sunhari si chehal

Humare dukhoin ko dur karne waali
Pyaar ka paigaam dene waali
Acchaiyon ko sunhaera naam dene waali

VO ALI KA TAUFA.....

Thursday, 24 September 2015

USS AALAM KA INTEZAAR

Har uss aalam ka hume intezaar ho,
Tujhe apni kaenaat maanne ke mauke jisme hazaar ho
Tere hi hone se yeh shaks khushnaseeb hai,
Tujhe banane waale uss khuda ko humara sada dil se salaam ho...

DARDE DIL KI DUHAYI APNE RAB KO SUNAYI

Kyu Duniya main itne dukh baraste hai
Log khushi ke liye har waqt taraste hai

Kya kami reh gayi iss duniya ko banane main
Uss Khuda se jisne lagai apni jaan isko sawaarne main

Insaan darbadar bhatak raha hai
Kisi anjaan kauf main tadap raha hai

Saansoin par dukhoin ka bhoj lekar jee raha hai
Ek aasha ki kiran ke liye taras raha hai

Kyu khoon kharaaba aam baat ban gayi
Har roz pareshaaniyon ki ek nayi wajah ban gayi

Anginat masoom chehrein khushi ki chah main jee rahe hai
Upar waale se reham milne ki aas par jee rahe hai

Insaan hi khud se dushmani kar baitha hai
Haevaaniyat ko ek naya raasta dikha baitha hai

Apne apne na rahe...
Kuch paraaye hue
Kuch iss duniya se mitaye gaye

O rehnuma,haath jodhta hu main
Paer padhta hu tere main

Khatam kar de iss dukhoin ke jhanjhaal ko
De khushi aur sukoon har uss behaal ko

Jo na jaane kab se tadap rahe hai
Tere reham ke liye taras rahe hai

Kyun tu yeh nahi pehchaan paa raha ke tere hi banayi duniya tere saamne khatam ho rahi hai,
Sirf aur sirf ro rahi hai

Tere reham ke liye
Ek aasha ki kiran ke liye
Ek nayi zindagi ke liye
Ek nayi pehchaan ke liye..................





KYU KHAAMOSH HAI TU


Kyu Khaamosh hai tu
Dikhne main pareshaan sa hai tu

Kya Takleef hai tujhko
Jiski na khabar hai mujhko

Apne hi khwaabon main ulja hua
Dusroin ko jatata tu sulja hua

Kismat ke ishaaroin par bhatakta hua
Apne aap ko haarta dekh bhikharta hua

Kyu Khaamosh hai tu
Dikhne main pareshaan sa hai tu

Jab pucha usse humne toh kehta...
Zindagi dard ke uffan par hai
Taklefoin ke toofan par hai

Bimaar bhai kehta kaash kal meri neend na khule
Tibi  se bimaar baap kehta ke aaj shareer main dawai hi na ghulne..

Yehi hai mera raaz ke
Kyu Khaamosh hu main
Dikhne main pareshaan sa hu main..
Humari madad ke liye Tumhari duaayein hi kaafi hai...
Ek baar khuda par bharosa rakhne par humari kaunsi badi maafi hai..

Keh ke chala gaya voh phir se pareshaaniyon main apni..
Jata gaya hume jaate jaate dard ki zubaaniyon main apni..

Aaj mili seekh hume ke hai nhi zindagi aasaan...
Isiliye hum sab hai khushnaseeb kyunki upar waale ne kiya hai humpe bahut bada aehsaan...

Zindagi ki moh maya main juta hua tha voh..
Upar waale se behisaab rootha hua tha voh..

Khaamosh tha voh
Dikhne main pareshaan sa tha voh.......




APNA BANANA CHAHU



Aansuin tere paunchna chahu
Tere dard ka raaz jaanna chahu
Dard ko tere peena chahu
Tere hi dard main jeena chahu

Baahoin main teri mehfooz rehna chahu
Waqt ko tham kar teri nazroin main behna chahu

Lamhoin se Guzarrish karke ishq ki baarish main bheegna bhi chahu
Unhi Paloin main tujhe gale laga kar Apni Mohabbat ka aehsaas jatana chahu

Kandhe par tere haath rakh ke teri surat ka deedar bhi karna chahu,
Apne saare dukh dard bhula ke tujhe apna banana chahu..........