MASROOF ho gya apni duniya main..
Kya tujhe apni pehli duniya
Yaad aati hai..
Kya tujhe apni pehli duniya
Yaad aati hai..
Do pal naino ko moond kar dekh..
Kya tujhe meri yaad ab bhi satati hai..
Kya tujhe meri yaad ab bhi satati hai..
Paraayion ko apna bana liya..
Kya Apne APNE ko apna bana sakta hai..
Shaam ke lamhon main mehfooz ho kar soch..
Kya teri rooh mere liye..
Kuch batati hai..
Kuch batati hai..
Ab meri Yaad kya satati hai..
Paigaam main maine apna dil jo
Bhej diya..
Bhej diya..
Tune Yun Dhadhkanon se uski Usko alag kar diya..
Manmarziyon par parda daal ke Kar mehsoos Saansoin ko apni..
Kya ab bhi khayaal mere
Tujhe Hasaate hai..
Tujhe Hasaate hai..
Kya Ab bhi Koi Zakm mujh par
Tujhe Rulaate hai..
Kya Ab bhi Yaadein meri kuch
Tujhe Jatati hai..
Tujhe Jatati hai..
KYA AB BHI............
MERI YAAD TUJHE SATATI HAI...
No comments:
Post a Comment