Friday, 31 March 2017

BAS YUN HI..PART12

ARZ KIYA HAI

1.TUM LIFAAFON MAIN ISHQ KAID KARTE RAHE....
HUMNE TOH  NOK SE FAAD KE  BARSA DIYA.....!!!

2.TUM  LOGON KI DUAAON KO HAATHON MAIN BATORTE RAHE....
HUMNE ISS DUNIYA KO APNE DIL MAIN BASA LIYA...!!!

3.MAIN TUMAHRI BAATON MAIN...
VAADON KE DASTAANE DHOONDTA RHA...

AB JAAKE ITLAA HUE....
MAIN TOH JHOOTHE MEHKAANO MAIN
PEHMAANE BATORTA RAHA..!!

4TUM KHAYAALON KO NAZAR ANDAAZ KAR BAITHI THI...

HUM AFSAANO MAIN TUMHE KHOJTE RAHE....

TUM ALFAAZON MAIN HUME KOSA KARTI THI...

HUM BHARI MASROOFIYAT MAIN BHI TUMHE SOCHTE RAHE...!!

5.WAQT KI MALHAR THI....
YAHAN BAHAANON KI BEDIYAN...

NASAMAJ THA YEH SHAKS...
YA USKE DIL KI RAVAANIYAN..!!

6.VOH EK AADAT THI....
JO NASAMJHE HUE TARAASHI GAYI...

BEWAKOOFI THI MERI..YA...BACHPANA ISHQ KA.......

JO AAJ BHI SHIDDAT SE SAWAARI GAYI...!!!!

Meanings of some words:
Pehmaana-Cup
Mehakaana-place of drinking alcohol
Masroof-busy
Malhar-associated with atmosphere of torrential rains!

Friday, 10 March 2017

BAS YUN HI...PART11

1.BESABRI KADMON MAIN NHI...
JUNOON MAIN HAI MERE...
  VOH TERI HASRAT JO
SUKOON MAIN HAI TERE..!


2.YUN TOH AAJKAL CHAAHTEIN MERI BEHISAAB HAI....
NA DIL KA THIKAANA HAI,
NA LIKHI MOHABBAT KA HISAAB HAI..!

YEH TOH MAHEZ EK AASHIQ KI KITAAB HAI....
BAS EK..
PYAAR KARNE WAALI KA YEH SADA
MOHTAAJ HAI.. .!!!


3.MUDDAT SE GUFTAGU HUI......
    "KYA TERI KOI PURAANI DUSHMANI
     HAI MERI MOHABBAT SE...
    
     YA KOI TADPAN HAI HUM DONO
     KI CHAAHAT SE...?"

    HASTE HASAATE ....

    MUDDAT NE JUSTAJOO KI..
    "YAARA...
      HUM TOH  KAENAAT KE GHULAAM
      HAI...
      KHUD KI BEBASI KE SUBAH AUR
      SHAAM HAI...
    
      MAIN TOH MAHEZ EK WAQT KA      
      PEHMAANA HU...
      JO KABHI NA RUKE,
       KABHI NA THAME...
  
VOH EK ANKAHA FASAANA HU...
        ANKAHA FASAANA HU..."


4.KAMIYON KO AAZMA LIYA...
   KHOOBIYAN BHI NIHAAR LO..

  MAUKE KI MAHEZ FIRAAK MAIN
   HAI HUM...
USS WAQT KE INTEZAAR MAIN
   HAI HUM....

KHUD KI PALKON TALE JAB TUM..
  HUMKO SAWAAR LO..

  HUMKO SAWAAR LO....!!


      
     Meanings of some words:
MUDDAT-Quite a long time
GUFTAGU-conversation
PEHMAANA-cup