ARZ KIYA HAI
1.TUM LIFAAFON MAIN ISHQ KAID KARTE RAHE....
HUMNE TOH NOK SE FAAD KE BARSA DIYA.....!!!
2.TUM LOGON KI DUAAON KO HAATHON MAIN BATORTE RAHE....
HUMNE ISS DUNIYA KO APNE DIL MAIN BASA LIYA...!!!
3.MAIN TUMAHRI BAATON MAIN...
VAADON KE DASTAANE DHOONDTA RHA...
AB JAAKE ITLAA HUE....
MAIN TOH JHOOTHE MEHKAANO MAIN
PEHMAANE BATORTA RAHA..!!
4TUM KHAYAALON KO NAZAR ANDAAZ KAR BAITHI THI...
HUM AFSAANO MAIN TUMHE KHOJTE RAHE....
TUM ALFAAZON MAIN HUME KOSA KARTI THI...
HUM BHARI MASROOFIYAT MAIN BHI TUMHE SOCHTE RAHE...!!
5.WAQT KI MALHAR THI....
YAHAN BAHAANON KI BEDIYAN...
NASAMAJ THA YEH SHAKS...
YA USKE DIL KI RAVAANIYAN..!!
6.VOH EK AADAT THI....
JO NASAMJHE HUE TARAASHI GAYI...
BEWAKOOFI THI MERI..YA...BACHPANA ISHQ KA.......
JO AAJ BHI SHIDDAT SE SAWAARI GAYI...!!!!
Meanings of some words:
Pehmaana-Cup
Mehakaana-place of drinking alcohol
Masroof-busy
Malhar-associated with atmosphere of torrential rains!
No comments:
Post a Comment