Friday, 27 October 2017

BAS YUN HI....PART 14

1.Unse mulaqaat itni aasaan nhi....
Muddatein bhi ghutne taek deti hai!

2.Natkhat si yeh jo teri adaayein hai...
"Teekhe main jaise meethe ka izaafha ho!"

3.Tu ek Raah naapti hai...
"Main raasta ban jaata hu"

4.Humhe Unko peena hai...
Par jaam voh Paichida hai!
Bepanaah unke hote hi...
Haar maanta apna Salikha hai!!

5.Humhe zulfon main ulajna hai!
Unko neend se guzarna hai!
Aagosh main lete hi...
Unko karvat badalna hai!

6.Khwaab mere ek sarkaari office ka kaam hai..
Hamesha adhure reh jaate hai!

7.Main dor jodh raha tha
Voh bore ho rahi thi...

Inhi do lines main zindagi katt rahi thi!

8.Voh ek kahaani si nazar aati hai,main usme apna zikr dhoondta hu!

9.Aaine main dikhne waali akss ban kar reh gayi!

10.Khwaab voh makaan ban chuka hai..jo banne se pehle aojhal ho jaata hai...

Neend voh kaarigar jo paraaiyon ke samaan.......Ho ke bhi nhi hota hai!

11.Tumse Milne ka Imkaan hai ke nhi..
Tera Deewana hu,Tu Haeraan hai ke nhi!!

12.Hum nazar ka andaaz nihaarte rahe...
Voh nazar andaaz karti rahi!

13.Ek baar humne dil se pucha...

"Kya main ab uska nhi?
Dil ne bhi muskuraate hue kaha....

"Teri Dhadhaknon ke paas tera Jawaab hai"

14.Ae Musaafir,Ishq main zara Sambhal kar chalo...

Ya toh bata kar chalo...Ya raasta badal kar chalo!

15.Kabhi Geeta toh kabhi Kuraaan padh leta hu....
Allah toh kabhi Bhagwan ko zubaan pe rakh deta hu...

Najaane kaise rooh hai meri jo thamti nhi..

Uska zikr karte karte shaayad unhi ko pareshan kar deta hai!

16.Mohabbat aise nibhaao ki izhaar bhi ho jaaye....
Aur khud par ikhtiyaar bhi!

17.Sunoo...
"Chai main cheeni kam hai.....
Tum ek goonth leke meetha kar do"

18.Kayi Raag bo deta hu unki rusvaayi
     main....
     Aur unhe kho deta hu unhi ki manaayi
     main....
  
19.Voh kehkar chal diye ki tumme voh baat nhi...
Usse kya pata...
"Hum lafzon Ke aadheen nhi"

20.Pagalpann apna barkaraar rakhte hai...
Chalo tumhe phir se pyaar karte rahe...

21.Meri Likhaawat par gaur na kare
khud ko bekaabu aur na kare...

22.Suroor chadta tumhaara har shaam hai...
Ishq ki duniya main log tamaam hai...

23.Tum aao toh sahi ek dafha mulaaqaat ke liye...
Maine baadlon ko roka hai barsaat ke liye...

24.Chalo tumhe ek shaam dete hai..
Iss mohabbat ko anjaam dete hai

25.Tujhse koi gila nhi hai mujhe...
Teri yaadon ka jaam bahut hai!

Tujhsa koi mila nhi hai mujhe...
Pyaari aaj bhi voh shaam bahut hai!

Aur baarishon main bheegta hu bedhadhak aaj bhi...

Baadlon se chalakhta tera naam bahut hai!

Tujhse koi gila nhi hai mujhe...
Teri yaadon ka jaam bahut hai!

26.Ek baar Gale lagakar toh dekhti....
Kya pata....
"Dil bhi laga lete"

Ek aur arz..

Yun toh  gilon main ab shikven kam the..

Ab ilzaam uss par lagaane ko kisse kam the

Arz kiya hai...

Mehkaane khule hai unke intezaar main ...
Jo kal hi laga tha beech kisi bazaar main..

Khambhe de raha voh saare. .. Ek hazaar main..

Har pehmaana gale ko mukamaal hua uske ikraar main

Voh baatein bahut karti hai...
Use khaamoshi ke jawaab se dar lagta hai!

Jo chalta waqt bekhauf guzar gaya..
Uske intezaar main ab sawar gaya!

Tere sajde main jo maine kayi vaadein kiye...
Jo Rab dikha tujhme nazar apne kayi iraadein kiye!

Main lafz rakh dunga, tum jasbaat samaj lena...
Main sach keh dunga, tum haalaat samaj lena!

~Gantavya(Mukaam)

Khushiyon ko ateet main dhundhne chale hai...
Hum raakh Ko aag lagaane main lage hai!

~Gantavya(Mukaam)

#Part4

Tum aao toh sahi ek dafah mulaaqaat ke liye.....
Apni yaadon Ko bulaaaya hai khayalaat ke liye!

~Gantavya(Mukaam)

Ek khayaal rozaana mann mein taaza hai...
Kyu guzarta yahan roz kisi ka janaaza hai!

~Gantavya(Mukaam)

Raaton main dikhte taarein bhut hai...
Har muhalle main kunwaare bhut hai!

~Gantavya(Mukaam)

Yunki Samundaron ke kinaare bhut hai...
Maine umeed main din guzaare bhut hai!

~Gantavya(Mukaam)

Jab mehfil ne humse pucha...
"Tumhara Anjaam kya hai?"

Humne bhi keh diya....
"Ishq Badnaam kya hai?"

~Gantavya(Mukaam)

Aage roshni hai, Safar pe hum hai...
Manzil Paa lo, Waqt sabke liye Kam hai!

~Gantavya(Mukaam)

Voh kabhi aayi thi mere Dil ka pata puchne....
Aaj khud Dil de baithi hai jo chali mujhe khojne!

~Gantavya(Mukaam)

Kuch kehne Ko tujhe ab Alfaaz Kam hai..
Tujhse khafa hone Ko ab Raaz Kam hai!

~Gantavya(Mukaam)

Kabhi kabhi aati hai zehen main voh baat tumhaari....

Ab kyu nhi aati tumhe yaad humaari!

~Gantavya(Mukaam)

Har Shaam ek nayi subah ka intezaar hai...
Ho jo bhi, par yeh beech ka safar mazedaar hai!

~Gantavya(Mukaam)

Uski nazar main kabhi kamaal karta hu,
Gaflaton ke mizaaj se kabhi bawaal karta hu..
Iske Raaz ko  Nazarandaaz karti  kayi dafah...

Usse maaloom hai...
Uske har jasbaat ko main Khayaal karta hu!

Kayi Riwaazo se aaj mujhe ek sawaal hai...
Nazarwaalo ko andha karne ka khayaal hai?

~Gantavya(Mukaam)

Voh aayi thi ek Nazm ki tarah aur Dil ko mere Ghazal kar gayi!

~Gantavya(Mukaam

Aajkal baatein voh kuch zyaada kare hai...
Shaayad nibhaane ka alfaaz aadha kare hai!

~Gantavya(Mukaam)

Ek khat likha tha kisi baarish main...
Maine waqt batlaaya tha uski khwahish main!

~Gantavya(Mukaam)

In zulfon ke saaye main apna noor chupaaye baithe ho...Isi ik ada se kitno ka dil dhadkaaye baithe ho!

Hum Andaaz ko Ishq samajte rahe....
Voh Wafa main  Ashq bharte rahe!

~Gantavya(Mukaam)

Uske paas aane ka inkaar reh gaya hai...
Mere paas sirf uska intezaar reh gaya hai!

~Gantavya(Mukaam)
#poetic_thoughts


Gar khayaal mai aau, toh yaad mat karna

Kahi mann pighal gaya, toh fariyaad mat karna

Beeta waqt hu, Laut ke na aaunga...

~Gantavya


Kuch toh baat thi usme, Bin kahe sab keh kar chali gayi...

~Gantavya 

Uski kahaani ka kirdaar hu mai

Dil chura lena ka gunegaar hu mai

~Gantavya Mukaam 

Yaad karte karte tumse duur hogye

Mehfilo mai aagaaz karke mashoor hogye

No comments:

Post a Comment