Sunday, 18 February 2018

MERE PITA KA MAIN

Toh baat hai jab hum gyaarvi main the.. Aur
Dasvi ho jaane ke maze haal hi main the
Aur toh aur papa ki tanhaayi main kuch naya naya izafa hua tha...
Shaayad
Dasvi ka nateeja unke dimaag se rafadafa hua tha..
Voh khud ek adhyaapak the aur mujhe padh likh ke kaamyaab dekhna chaahte the.Unki nazar main padhna likhna jaaayaz hai aur zindagi
barbaad karna naajaayaz.Waqt ne humhe samja diya ki najaayaz aur bewakoofi main fark hota hai...
Voh kya hai na ki har cheez ka iss diniya main ek tark hota hai...
Aksar humhe padhai ke bhoj ko sambhalne main
dikkat hoti thi..
Khud ko itni jaldi na badalne ki shaayad nazaakat hoti thi..

Aur voh yunki humhe khush dekhna chaahte the, toh hamesha ek hi cheez batlaate the..
"Beta hum hai na,toh dikkat kis baat ki.
Yeh fizool si haar jaane waali harkat kis baat ki.

Toh humhe gale lagaaye aur bharosa dilaaye, padhai par dhyaan dene ko  aur khush rehne ko
kehte the.Par najaane humhe voh dukhi se nazar aate the aur khud ko khush batlaate the.
Bhala koi insaan humaari khushi ke vaaste khud ko dukhi bana deta hai...
Darasal voh apna farz nibhaa ke jasbaaton ka asli matlab jata deta hai.

Toh chalte chalte hum baarvi main aagye aur shaayad papa ki  tanhaayi pe aur bhoj laad gaye.
Darasal voh bhoj nhi ek soch hai..
Bebasi par kaamyaabi ki ek kharoch hai.

Hum padhte the aur voh humaari takleef samajte the.
Hum jab rote the voh khushi ke beej bote  the aur khush kar dete hai..
Par asal main khud par humaare dukh laad dete the.

Toh ab paper aa gaye board ke..
aur tanhaayi ko kinaare chod ke ..
iss koshish main the ki tanhaayi humaari aaj hum paar haanvi na hojaaye..
ek bhoj ki tarah sar par bhaari na ho jaaye..

Toh papa ne gale lagaaye..nazrein milaaye ..
Kaanon main ek baat batlaayi..

"Beta main ek cheez jaanta hu,Gar tu apne pe aa gaya..
Tu patthar main se paani nikaal dega aur iss duniya ke liye ..Ek misaal bana dega..

Sunte hi hum charno main unke gir gaye... aur  aashirwaad lete hi imtehaan dene nikal gaye...

Toh har imtehaan hum jab de ke aate,Voh chaukhat par khade hote..
Nazar se nazar milaane ka intezaar karte..
Jaise hi nazrein milti..Khush ho jaate,,chup reh jaate aur kuch na kehte.

Toh aaya ab nateeje ka din...aur
Soch main numberon ko gin... Ki dekha
pichyaanve(95%)  pratishat
Unhone nateeja dekha aur aansuin paunche ..
Aur thodi der baad kamrein main humaare pahunche.

Gale lagaake..Nazrein milaake..ek baat kehte..

"Mere aankhon se paani uss patthar ka nikal gaya hai..
Aaj mera beta  apne paeron pe khada hogya hai!

No comments:

Post a Comment